Rung e Ishq kuch aur nikharta hai hijar mein
Har sung, paris numa banta hai hijr mein,
Youn tu har koi hai dav-e- daar- e -mohabbat
Yeah raaz magar aisa jo khulta hai hijr mein,
Gar pahaar sa hosla bhee rakhata ho koi
Bun ke khusbo ik din bikharta hai hijr mein,
Hum ne kabhi lout kay atay nahi daikha
Talash e yaar ko jo nikal parta hai hijr mein,
Har shub ankhoon mein guzar jati hai tanha
Har khawb chikna choor hota hai hijr mein,
Woh har aik se hans ke baat karta hai
Par chup ke duniya se roota hai hijr mein,
Ajab haal insaan ka mouj e firaq karti hai
Doob sakta hai na pa'ar utarta hai hijr mein,
Chatanoon ka seena cheer daita hai to kabhi
Kachay gharay pay chanab ute'rta hai hijr mein.
Post a Comment