0

Gham-e-Hayaat se kuchh pal chura ke dekheinge
Iradatan bhi kabhi muskura ke dekheinge

Woh saj sanwar ke abhi muskura ke dekheinge
Qasam ye khaayi hai , bijli gira ke dekheinge

Karaa deiN khud se woh deedar , warna kah deeje
Hum apne haath se Ghunghat hata ke dekheinge

Abhie jo lagte haiN masroof dunyadaari meiN
Zara hi deir mein nazreiN bacha ke dekheinge

Mile ga chaahne wala ? , ye jaan'ne ke liye
Woh apne haath meiN Menhdi rachaa ke dekheinge

Samaao , ya na samaao , hamaari baanhoN meiN
Tumhaari baanhoN meiN Hum to samaa ke dekheinge

Na rok paaye ga Deedar-e-yaar se koi
Zamaane bhar ko ,'Hasan', hum dikha ke dekheinge.

Post a Comment

 
Top By Alipur