Mujrim bhi tha mohsin bhi mera lagta tha
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha,
dst-e-katil bhi mjhy dast-e-hina lgta tha,
Ary daikhny waly to usy daikhty reh jaty thy
han wo shaks mohabt ka khuda lgta tha,
kanton bhari shakh nazar ata tha kabi
phool lgta tha kabi bad-e-saba lgta tha,
ab logon sy pochta phirta hai mare ghar ka pata
main jisy sare zamany sy bura lgta tha,
us ki batein thin ravayat sy hat kar MOHSIN
sub main rehta tha magar sub sy juda lgta tha.
Post a Comment