0


zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa

aankh usski ab khuli hai jab ye duniya chodd di
itne din se vo kahan tha kya so raha tha bewaffa

ussne mujhko gham diya aur gham ne meri jaan li
khudko qatil maanta hai iss liye toh aaj vo
aansuuon se zurm apne dho raha tha bewaffa

meri saansein zindgi aur maut ke thi darmiyan
meri halat dekh kar sab ne kaha marr jaayega
roa pada dushman magar khush ho raha tha bewaffa

der thodi si lagi par rang layi hai waffa
baad marne ke 'zafar' ussne ki inayat hai badi
char char kull mere liye padh raha tha bewaffa

zindgi mein mujhse milne vo kabhi aaya na tha
aaj kyun meri qabar pe ro raha tha bewaffa.

Post a Comment

 
Top By Alipur